Tuesday, February 17, 2009

Umeed

tha woh aisa manzar meri zindagi ka....
jab thi chaaro taraf mere khusiyaan hi khusiyaan....
aur na thi gam ki koi bhi nishaniyaan......
jab saath tha ma kki pyaar bhari god ka........
jab saath tha bhai ke nokjhok aur pyaar ka.......
papa ka woh har baat mein meri taraf ho jana....
aur daant kar ma aur bhai ko chup kara dena...
mujhe apni galti ka ehsaas ho jana.........
aur jaake bhaiya ko pyaar se sorry bol dena.
bhaiya ka thodi der mujhse jhagadna......
phir mazboor hokar mujhe maaf kar dena..
mera woh mummy se gajar ke halwe ke liye zid karna.
aur mummy ka mujhe daant kar bhaga dena......
phir chachi ko jakar chupke se pataana.......
aur chachi ka mere liye halwa banana........
paise khatam ho jaane par bhaiya ke saamne rona.....
aur uska bade pyaar se mujhe apne saare paise de dena....
woh chandni raaton mein bhaiyon aur behno ke saath chat par baithna.......
aur phir ghanto apne dosto ki baatein karna..
hamara woh pyaar se saath baithkar khana khana............
aur ek dusre ki plate se mithaiyaan churana.....
mere chote bhai behno ka har baat mujhse puch kar karna....
aur mera har baat mein bhaiya ki nigaahen dekhna..........
the woh pal kitne suhane jab khush hone ke the hazaro bahane,
jab dhalti hui shaam aane wali subah ka sandesha deti thi.
aur jab raat ka andhera chandani ki sugbuhat lekar aata tha.....yy
haan they woh pal zindagi ke hamare......
jab lagte the gam halke saare,

aaya phir woh manzar meri zindagi ka.....
jab zindagi ne chin liya mujhse meri zindagi..
ghar ki jagah leli hostel ke kamre ne.
bhai beheno ki jagah leli meri pyaari kriti ne.....
dosto ki jagah leli phone pe unki baaton ne....
ab na woh raat aati hai,aur na woh subah hoti hai.....
ab dhalti hui shaam raat ke andhere ki yaad dilati hai.
aur raat ka andhera jeevan ke kaalepan ka...
haan aisa pal hai meri zindagi ka jab cheen gayi hai mujhse meri khusiyaan saari.......
par ek cheez hai jo aaj bhi hai hamari ..
woh hai umeed ki halki si chingaari.

3 comments:

  1. after reading this poem..missing those days wen w wer together....really lovely days dear....miss u guys a lot.... :)

    ReplyDelete
  2. this poem remind me ma home............very gud creation,touching to heart

    ReplyDelete
  3. so sweet...itna talent hai pata hi nahi tha....
    really touchy work....

    ReplyDelete